Tahni pe kisi shajar ki tanha
Tahni pe kisi shajar ki tanha
bulbul tha koi udas baiTha
kahta tha ki raat sar pe aai
uDne chugne mein din guzara
pahunchun kis tarah aashiyan tak
har chiz pe chha gaya andhera
sun kar bulbul ki aah-o-zari
jugnu koi pas hi se bola
hazir hun madad ko jaan-o-dil se
kiDa hun agarche main zara sa
kya gham hai jo raat hai andheri
main rah mein raushni karunga
allah ne di hai mujh ko mashal
chamka ke mujhe diya banaya
hain log wahi jahan mein achchhe
aate hain jo kaam dusron ke